maiñ kyuuñ zabāñ se vafā kā yaqīñ dilā.ūñ tumheñ
tum āzmāo mujhe aur maiñ āzmā.ūñ tumheñ
maiñ bhūlne ko to ik pal meñ bhuul jā.ūñgā
ye sochtā huuñ kahīñ maiñ na yaad aa.uuñ tumheñ
mirī ġhazal hai mirī kaifiyat kā ā.īna
ab aur hāl-e-dil-e-zār kyā sunā.ūñ tumheñ
mirī taraf se sadā bad-gumāñ rahe ho tum
qarīb aao to maiñ kyā huuñ ye batā.ūñ tumheñ
kuchh aisā lutf hai us rūThne manāne meñ
hazār baar bhī rūTho to maiñ manā.ūñ tumheñ
merī nigāh meñ kuchh is tarah samā jaao
nigāh ḳhud pe bhī Dāloñ agar to paañv tumheñ
ye aarzū hai mirī shā.irī meñ Dhal jaao
ġhazal ke ruup meñ har lamha gungunā.ūñ tumheñ
mujhe yaqīñ hai ki tasvīr un kī pāoge
maiñ 'ehtishām' jo dil chiir ke dikhā.ūñ tumheñ