Zia Jalandhari

ajab kashakash-e-bim-o-raja hai tanhai

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
ajab kashākash-e-bīm-o-rajā hai tanhā.ī
tire baġhair tirā sāmnā hai tanhā.ī
na.e dinoñ kī salībeñ ga.e dinoñ ke mazār
azaab ḳhud se mulāqāt kā hai tanhā.ī
fazā meñ haiñ kisī tūfān-e-tund ke āsār
safar tavīl hai aur rāstā hai tanhā.ī
bahut udaas hai dil dostoñ kī mahfil meñ
har ek aañkh meñ chehra-numā hai tanhā.ī
shagufta phūloñ kā gul-dasta sohbat-e-yārāñ
bikharte pattoñ kā ik Dher sā hai tanhā.ī
maiñ āftāb ko kaise dikhā.ūñ tārīkī
tujhe maiñ kaise batā.ūñ ki kyā hai tanhā.ī
ajab sukūn thā shab āñsuoñ kī bārish meñ
vo ġham-gusār vo dard-āshnā hai tanhā.ī
vo ḳhvāb kyā thā ki jis kī hayāt hai ta.abīr
vo jurm kyā thā ki jis kī sazā hai tanhā.ī
nahīñ mile the to tanhā.ī kis qadar thī 'ziyā'
vo mil ke bichhḌe to us se sivā hai tanhā.ī
Top Urdushayar.com