munjamid hoñToñ pe hai yaḳh kī tarah harf-e-junūñ
sar kisī seal-zada shāḳh ke mānind nigūñ
kahāñ surmā-nafas alfāz kahāñ soz-e-darūñ
lāla-e-dasht-e-zamistāñ hai maiñ jo baat kahūñ
maiñ kahāñ pahuñchā ki har but jise puujā ab tak
hai shikasta sar-e-ḳhāk aur maiñ shikasta to huuñ
rahm kar ḳhvāb-e-tamannā pe nigāh-e-nigarāñ
TuuT kar chāroñ taraf bikhre paḌe haiñ afsūñ
ḳhisht-kobī meñ kise fursat-e-ḳhvāb-e-ḳhūbāñ
zinda rahne ke taqāzoñ ne kiyā ziist kā ḳhuuñ
kitne aqdār ke aivān zamīñ-bos hue
āgahī raakh kā ik Dher huī jaatī hai kyuuñ
kitne armān zamistāñ-zada shāḳhoñ kī tarah
haath phailā.e hue takte haiñ sū-e-gardūñ
shab ajab-soḳhta-sāmān musāfir aa.e
jism āġhushta-ba-ḳhūñ chehre malūl-o-mahzūñ
bole ai ajnabī ai saada tamannā hameñ dekh
ham bhī rakhte the kabhī ārzūeñ gūnā-gūñ
aur phir ham pe khulā vaqt kī raftār kā raaz
ab koī rañg koī ruup nahīñ vaj.h-e-sukūñ
bujh ga.iiñ ārzūeñ shaam ke bādal kī tarah
gulshan-o-shahr hue barf kī tah meñ madfūñ
jā-ba-jā hausle tārāj hue dil TuuTe
pai-ba-pai ham ne sahe sard havā ke shab-ḳhūñ
zindagī mahz shikastoñ kā ik ambār-e-girāñ
ab in āñkhoñ meñ nahīñ koī tilism-e-fayakūñ
ham to ai ajnabī mehmān haiñ koī dam ke
dam-ba-dam mauj-e-fanā kahtī hai maiñ huuñ maiñ huuñ
sub.h-dam soḳhta-sāmān musāfir bhī ga.e
phir vahī ham vahī tanhā.ī vahī hāl-e-zabūñ