Zia Jalandhari

dil hi dil mein sulag ke bujhe hum aur sahe gham dur hi dur

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
dil hī dil meñ sulag ke bujhe ham aur sahe ġham duur hī duur
tum se kaun sī aas bañdhī thī tum se rahe ham duur hī duur
tum ne ham ko jab bhī dekhā shukr-ba-lab the yā ḳhāmosh
yuuñ to aksar ro.e lekin chhup chhup kam kam duur hī duur
jal jal bujh ga.ī koñpal koñpal kyā kyā armāñ ḳhaak hue
āñkheñ to bhar laa.e pa bādal barse chham-chham duur hī duur
ek vo aan ki un kī zarā sī baat gavārā kar na sake
ek ye haal ki yaad meñ un kī ro.e paiham duur hī duur
tark-e-talab par ḳhush the ki āḳhir kaam liyā dānā.ī se
kis ko ḳhabar hai jalte rahe tum jalte rahe ham duur hī duur
Top Urdushayar.com