Zia Jalandhari

KHud ko samjha hai faqat wahm-o-guman bhi humne

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
ḳhud ko samjhā hai faqat vahm-o-gumāñ bhī ham ne
ḳhud ko paayā hai dil-e-kaun-o-makāñ bhī ham ne
dekh phūloñ se lade dhuup nahā.e hue peḌ
hañs ke kahte haiñ guzārī hai ḳhizāñ bhī ham ne
shafaq-e-sub.h se tābinda saman-zār se pūchh
raat kaaTī sū-e-gardūñ-nigrāñ bhī ham ne
dekh kar abr bhar aa.ī haiñ ḳhushī se āñkheñ
sūkhte hoñToñ pe pherī hai zabāñ bhī ham ne
jin ke gītoñ meñ hai nik.hat kī lapak phuul kā ras
sālhā-sāl sunī un kī fuġhāñ bhī ham ne
ab umañgeñ haiñ tarañgeñ haiñ tarannum-afshāñ
ḳhvāhisheñ dekhīñ haiñ mahrūm-e-zabāñ bhī ham ne
ab nazar aa.e haiñ āsūda-e-manzil to kyā
dekhī kyā kyā tapish-e-reg-e-ravāñ bhī ham ne
Top Urdushayar.com