Zia Jalandhari

KHun ke dariya bah jate hain KHair aur KHair ke bich

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
ḳhuun ke dariyā bah jaate haiñ ḳhair aur ḳhair ke biich
apne-āp meñ sab sachche haiñ masjid o dair ke biich
laag ho yā ki lagan ho donoñ ek diye kī laveñ
ek hī raushnī lahrātī hai pyaar aur bair ke biich
dil meñ dhuup khile to añdhere chhaT jaate haiñ aap
ab ham farq ravā nahīñ rakhte yaar aur ġhair ke biich
soch-samajh sab sach hai lekin dil kī baat hai aur
duur thī yuuñ to aañkh bhañvar kī pahuñchā tair ke biich
jaate ho pa qadam uThne se pahle dhyān rahe
umr kā fāsla ho saktā hai pair aur pair ke biich
dekhtī aañkh 'ziyā' hairāñ hai dekh ke dahr ke rañg
pal kī pal meñ badal jaate haiñ manzar sair ke biich
Top Urdushayar.com