Zia Jalandhari

sham-e-haq shoabada-e-harf dikha kar le jae

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
sham-e-haq sho.abada-e-harf dikhā kar le jaa.e
kahīñ tujh ko hī na tujh se koī aa kar le jaa.e
pahne phirte haiñ jo pairāhan-e-suqrāt-o-masīh
un kā bahrūp na dil terā lubhā kar le jaa.e
tū chaḌhāvā to nahīñ hai ki koī sehar-maqāl
sū-e-maqtal tujhe lafzoñ meñ sajā kar le jaa.e
tū koī sūkhā huā patta nahīñ hai ki jise
jis taraf mauj-e-havā chāhe uḌā kar le jaa.e
terī aqdār par-e-kāh nahīñ haiñ ki jūñhī
koī lahar uTThe unheñ saath bahā kar le jaa.e
log to taak meñ haiñ aisā na ho koī tujhe
ḳhud tire ḳhauf kī zanjīr pinhā kar le jaa.e
jā-ba-jā shola-bayāñ charb-zabāñ taak meñ haiñ
koī tujh ko bhī na bātoñ meñ lagā kar le jaa.e
lafz tīroñ kī tarah va.az sināñ ke mānind
dil-e-vahshī ko kahāñ koī bachā kar le jaa.e
Top Urdushayar.com