Zia Jalandhari

rang baaten karen aur baaton se KHushbu aae

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
rañg bāteñ kareñ aur bātoñ se ḳhushbū aa.e
dard phūloñ kī tarah mahke agar tū aa.e
bhiig jaatī haiñ is ummīd pe āñkheñ har shaam
shāyad is raat vo mahtāb lab-e-jū aa.e
ham tirī yaad se katrā ke guzar jaate magar
raah meñ phūloñ ke lab sāyoñ ke gesū aa.e
vahī lab-tishnagī apnī vahī tarġhīb-e-sarāb
dasht-e-ma.alūm kī ham āḳhirī had chhū aa.e
maslahat-koshi-e-ahbāb se dam ghuTtā hai
kisī jānib se koī na.ara-e-yāhū aa.e
siine vīrān hue anjuman ābād rahī
kitne gul-chehra ga.e kitne parī-rū aa.e
āzmā.ish kī ghaḌī se guzar aa.e to 'ziyā'
jashn-e-ġham jaarī huā āñkhoñ meñ aañsū aa.e
Top Urdushayar.com