Qazi Ehtisham Bachhrauni

haram ki rah mein saqi ka ghar bhi aata hai

Qazi Ehtisham Bachhrauni

haram kī raah meñ saaqī kā ghar bhī aatā hai
safar meñ lamha-e-tark-e-safar bhī aatā hai
tujhe ki parda-nashīñ ye hunar bhī aatā hai
nazar bhī aatā nahīñ aur nazar bhī aatā hai
dabī dabī sī zabāñ meñ ye pūchhnā qāsid
kabhī ḳhayāl meñ āshufta-sar bhī aatā hai
tumhārī baat hai kuchh aur yuuñ to aane ko
ġharīb-ḳhāne pe aksar qamar bhī aatā hai
ġhamoñ kī shaam hai be-shak magar udaas na ho
ba-shakl-e-shām payām-e-sahr bhī aatā hai
mirī tabāhī kā baa.is mirā nasīb sahī
magar ye harf tirī zaat par bhī aatā hai
javāb-e-ḳhat kī to ummīd 'ehtishām' kujā
ye dekh lauT ke paiġhāmbar bhī aatā hai
Top Urdushayar.com