Zia Jalandhari

shajar jalte hain shaKHen jal rahi hain

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
shajar jalte haiñ shāḳheñ jal rahī haiñ
havā.eñ haiñ ki paiham chal rahī haiñ
talab radd-e-talab donoñ qayāmat
ye āñkheñ umr-bhar jal-thal rahī haiñ
chamaktā chāñd-chehra sāmne thā
umañgeñ bahr thiiñ bekal rahī haiñ
dabe-pāñv mirī tanhā.iyoñ meñ
havā.eñ ḳhvāb ban kar chal rahī haiñ
sahar-dam sohbat-e-rafta kī yādeñ
mire pahlū meñ āñkheñ mal rahī haiñ
tirī yaad aur be-ḳhvābī kī rāteñ
ye palkeñ aañkh par bojhal rahī haiñ
bahut pechīda haiñ chāhat ke andāz
ki ab dil-dāriyāñ bhī khal rahī haiñ
tarāzū haiñ ḳhirad-mandoñ ke dil meñ
vahī bāteñ jo be-aTkal rahī haiñ
'ziyā' un sā.atoñ meñ umr guzrī
khulī āñkhoñ se jo ojhal rahī haiñ
Top Urdushayar.com