ab ye āñkheñ kisī taskīn se tābinda nahīñ
maiñ ne rafta se ye jaanā hai ki ā.inda nahīñ
tere dil meñ koī ġham merā numā.inda nahīñ
āgahī terī mizha par abhī raḳhshanda nahīñ
dil-e-vīrāñ dam-e-īsā hai ga.e vaqt kī yaad
kaun sā lamha-e-rafta hai ki phir zinda nahīñ
tū bhī chāhe to na aa.egī vo biitī huī raat
hai vahī chāñd magar vaisā daraḳhshinda nahīñ
abr-e-āvāra se mujh ko hai vafā kī ummīd
barq-e-betāb se shikva hai ki pā.inda nahīñ
kabhī ġhunche ko mahakne se koī rok sakā
shauq agar hai to phir iz.hār se sharminda nahīñ