Zia Jalandhari

dukh tamasha to nahin hai ki dikhaen baba

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
dukh tamāshā to nahīñ hai ki dikhā.eñ baabā
ro chuke aur na ab ham ko rulā.eñ baabā
kaisī dahshat hai ki ḳhvāhish se bhī Dar lagtā hai
munjamid ho ga.ī hoñToñ pe duā.eñ baabā
maut hai narm-dilī ke liye badnām un meñ
haiñ yahāñ aur bhī kuchh aisī balā.eñ baabā
daaġh dikhlā.eñ ham un ko to ye miT jā.eñge kyā
ġham-gusāroñ se kaho yuuñ na satā.eñ baabā
ham-safīrān-e-chaman yaad to karte hoñge
par qafas tak nahīñ ātīñ vo sadā.eñ baabā
patte shāḳhoñ se baraste rahe ashkoñ kī tarah
raat bhar chaltī rahīñ tez havā.eñ baabā
aag jañgal meñ bhaḌaktī hai 'ziyā' shahr meñ baat
kaise bhaḌke hue sho.aloñ ko bujhā.eñ baabā
Top Urdushayar.com