de gayā dard-e-be-talab koī
merā hamdard thā ajab koī
kaun niklā hai apnī uljhan se
aur ko pā sakā hai kab koī
ye ujālā ye din kahāñ huuñ maiñ
mujh se kuchh kah rahā thā shab koī
ab jo rūThe to jaañ pe bantī hai
ḳhush huā mujh se be-sabab koī
merī manzil mujhe nahīñ ma.alūm
sub.h koī hai aur shab koī
maut aur aarzū kī maut 'ziyā'
haañ bahut mutma.in hai ab koī