Qazi Ehtisham Bachhrauni

kya us ka gila yurish-e-tohmat bahut hai

Qazi Ehtisham Bachhrauni

kyā us kā gilā yūrish-e-tohmāt bahut hai
zinda haiñ jo ham log yahī baat bahut hai
jo tum ne bujhā Daale diye un ko jalā lo
ai sub.h ke matavālo abhī raat bahut hai
is vāste gulchīñ ko huī mujh se adāvat
taz.īn-e-gulistāñ meñ mirā haath bahut hai
un firqa-parastoñ ke diloñ meñ hai kudūrat
aur vird-e-zabāñ lafz-e-musāvāt bahut hai
un amn-pasandoñ ke parakhne ko kasauTī
is daur kī tafsīl-e-fasādāt bahut hai
ye beToñ ke sar bhaa.ī kā ḳhuuñ bahnoñ kī chīḳheñ
ibrat ho agar ham ko ye sauġhāt bahut hai
behis ho jo insāñ tū kahe jā.iye kuchh bhī
ġhairat ho agar dil meñ to ik baat bahut hai
siine se tire ġham ko lagā.e to rakheñge
nā-sāz magar gardish-e-hālāt bahut hai
haañ baiTho gadā ban ke baras jā.egī daulat
in puḳhta mazāroñ meñ karāmāt bahut hai
Top Urdushayar.com