Zia Jalandhari

apne ahwal pe hum aap the hairan baba

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
apne ahvāl pe ham aap the hairāñ baabā
aañkh dariyā thī magar dil thā bayābāñ baabā
ye vo aañsū haiñ jo andar kī taraf girte haiñ
hoñ bhī to ham nazar aate nahīñ giryāñ baabā
is qadar sadma hai kyuuñ ek dil-e-vīrāñ par
shahr ke shahr yahāñ ho ga.e vīrāñ baabā
ye shab o roz ke hañgāmoñ se sahme hue log
rahte haiñ mauj-e-sabā se bhī hirāsāñ baabā
ūñchī dīvāroñ se bāhar nikal aa.e to khulā
ham ne sīnoñ meñ banā rakkhe haiñ zindāñ baabā
ḳhush-gumāñ ho ke na baiTh in dar-o-dīvār se pūchh
ahl-e-ḳhāna bhī haiñ kuchh roz ke mehmāñ baabā
yaḳh havāoñ se mujhe aatī hai ḳhush-bū-e-bahār
shola-e-gul kī amiiñ hai ye zamistāñ baabā
gard-bād aa.eñ ki girdāb, bayābāñ ho ki bahr
zindagī hotī hai āp-apnī nigahbāñ baabā
ga.ī rut lauT bhī aatī hai 'ziyā' hausla rakh
ham ne dekhī haiñ siyah shāḳhoñ pe kaliyāñ baabā
Top Urdushayar.com