Zia Jalandhari

kahan ka sabr sau sau bar diwanon ke dil TuTe

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
kahāñ kā sabr sau sau baar dīvānoñ ke dil TuuTe
shikast-e-dil ke ḳhadshe hī se nā-dānoñ ke dil TuuTe
gire haiñ TuuT kar kuchh aa.ine shāḳhoñ kī palkoñ se
ye kis kī aah thī kyuuñ shabnamistānoñ ke dil TuuTe
is ārā.ish se to kuchh aur ubhrī un kī vīrānī
babūloñ par bahār aa.ī to vīrānoñ ke dil TuuTe
vo mahrūmī kā josh-e-ḳhvāb-parvar ab kahāñ baaqī
bar aa.iiñ itnī ummīdeñ ki armānoñ ke dil TuuTe
unheñ apne gudāz-e-dil se andāza thā auroñ kā
jab insānoñ ke dil dekhe to insānoñ ke dil TuuTe
qafas se husn-e-gul ke qadr-dāñ ab tak nahīñ palTe
shagūfoñ ke tabassum se gulistānoñ ke dil TuuTe
'ziyā' apnī tabāhī par unheñ bhī naaz the kyā kyā
hameñ dekhā to sahrāoñ bayābānoñ ke dil TuuTe
Top Urdushayar.com