jī rahā huuñ pa kyā yūñhī jiitā rahūñ
maiñ na terī taḌap huuñ na apnā sukūñ
ab to sarmā kī shab ban ke ThiThure hai ḳhuuñ
aur kab tak tumhārī tamannā karūñ
tum ko chāhā ki thī nargisiyat fuzūñ
apnā ḳhvāhāñ tumhārī visātat se huuñ
aise rūThe the lekin mile haiñ to yuuñ
chāhtā huuñ ki un se na kuchh bhī kahūñ
hijr jaañ kā ziyāñ vasl marg-e-junūñ
jiite rahne kā imkān yuuñ hai na yuuñ
thaah is dil kī dekheñ pa dekheñ to kyuuñ
dekhā jā.egā kyā apne ḳhvāboñ kā ḳhuuñ
fikr-e-sūd-o-ziyāñ ḳhāk-ālūda huuñ
maiñ ki thā tā.ir-e-vus.at-e-nīl-gūñ