kashkol hai to lā idhar aa kar lagā sadā
maiñ pyaas bāñTtā huuñ zarūrat nahīñ to jā
maiñ shahr shahr ḳhvāboñ kī gaThrī liye phirā
be-dām thā ye maal pe gāhak koī na thā
patthar pighal ke ret ke mānind narm hai
dard itnī der saath rahā raas aa gayā
sīnoñ meñ iztirāb hai girya havā meñ hai
kyā vaqt hai ki shor machā hai duā duā
himmat hai to buland kar āvāz kā alam
chup baiThne se hal nahīñ hone kā mas.ala
vaañ shab-gazīda sīnoñ ko sūraj atā hue
tum bhī vahāñ ga.e the 'ziyā' tum ko kyā milā