yuuñ bhī hotī hai saḳhāvat us kā andāza na thā
bhiik us ghar se milī jis ghar kā darvāza na thā
shukriya terā nigāh-e-nāz terā shukriya
muntashir is tarah apne dil kā shīrāza na thā
ab na mustaqbil ayaañ hai aur na maazī ke nuqūsh
vaqt kā chehra bahut shaffāf thā ġhāza na thā
thī mujhe duniyā se nafrat thā mujhe logoñ se bair
aap par to band mere dil kā darvāza na thā
nāpne aa.e the mujh ko ġharq ho kar rah ga.e
dostoñ ko merī gahrā.ī kā andāza na thā
ye huī uqda-kushā.ī dar-haqīqat bād-e-marg
ziist maidān-e-amal thī koī ḳhamyāza na thā
sehn-e-gulshan meñ milī aksar dobāra tāzgī
dosto kunj-e-qafas meñ zaḳhm-e-dil taaza na thā
qais vo batlā rahā thā ḳhud ko lekin 'ehtishām'
koī bhī sañg-e-malāmat koī āvāza na thā