Zia Jalandhari

teri nigah se ise bhi guman hua ki main hun

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
tirī nigah se ise bhī gumāñ huā ki maiñ huuñ
vagarna dil to mirā māntā na thā ki maiñ huuñ
ajiib lamha vo dīdār-e-husn-e-yār kā thā
us ek pal kī tajallī meñ ye khulā ki maiñ huuñ
na jaane be-ḳhabarī ke vo kis maqām pe thā
nazar uThātā to har gul pukārtā ki maiñ huuñ
tire jamāl kī kuchh raushnī sī paḌtī hai
batā rahā hai mujhe rañg-e-ā.ina ki maiñ huuñ
jise bhulā ke ye dil mutma.in thā muddat se
kal us ke zikr pe ik ahd bol uThā ki maiñ huuñ
par-e-zamāna to parvāz-e-nūr se bhī hai tez
kahāñ hai kaun thā jis ne abhī kahā ki maiñ huuñ
kahāñ pe sarhad-e-nā-būd-o-būd miltī hai
subūt ho ki na ho e'tibār kyā ki maiñ huuñ
hayāt ḳhud hai dahān-e-nahañg-e-lā-ya.anī
jo hai adam kā musāfir hai maiñ chalā ki maiñ huuñ
na raftagāñ haiñ na ab yād-e-raftagāñ baaqī
maiñ kyā huuñ juz ram-e-yak-mauja-e-fanā ki maiñ huuñ
mujh aise zarroñ kā honā na honā ek sā hai
bagūle in se uThe to pata chalā ki maiñ huuñ
khulā paḌā hai sar-e-rāh be-his-o-harakat
jo haath kal tak uThā chīḳhtā rahā ki maiñ huuñ
abhī tarīq-e-tahammul nahīñ mizājoñ meñ
abhī faqīhoñ meñ hañgāma hai bapā ki maiñ huuñ
kahīñ kahīñ abhī tauqīr-e-lafz baaqī hai
suḳhan sunā.ī diyā harf-e-dard kā ki maiñ huuñ
ajiib ālam-e-hū thā 'ziyā' jab āḳhir-e-shab
kisī ko dil ne ye kahte hue sunā ki maiñ huuñ
Top Urdushayar.com