Qazi Ehtisham Bachhrauni

uTha bhi dil se agar meri chashm-e-tar mein raha

Qazi Ehtisham Bachhrauni

uThā bhī dil se agar merī chashm-e-tar meñ rahā
ḳhudā kā shukr hai tūfān ghar kā ghar meñ rahā
na jaane kaun sī us meñ kashish thī poshīda
tamām-umr vo chehrā mirī nazar meñ rahā
sitam-shi.ār se ham jīte-jī ye kyuuñ kah deñ
ki hausla na hamāre dil-o-jigar meñ rahā
na rok pā.ūñgā hargiz maiñ terī rusvā.ī
tū ashk ban ke agar merī chashm-e-tar meñ rahā
vo merī tarah bhī ḳhāna-ḳharāb kyuuñ rahtā
banā ke dil ko mire ghar vo apne ghar meñ rahā
fanā ke ba.ad bhī kī hai tirī qadam-bosī
maiñ ḳhaak ho ke bhī terī hī rahguzar meñ rahā
gayā jo taaj milī bā-kamāl darveshī
zamāna yuuñ bhī mire halqa-e-asar meñ rahā
zarūr ho na ho tū thā mujh hī meñ poshīda
ye zauq-e-sajda hamesha jo sar ke sar meñ rahā
gayā jo manzil-e-maqsūd tak jo tū dīvāna
ye ahl-e-hosh hamesha agar-magar maiñ rahā
hai 'ehtishām' zamāne meñ baḌh ke ek se ek
vo kaun hai ki jo yaktā kisī hunar meñ rahā
Top Urdushayar.com