har taraf hadd-e-nazar tak silsila paanī kā hai
kyā kaheñ sāhil se koī rābta paanī kā hai
ḳhushk rut meñ is jagah ham ne banāyā thā makān
ye nahīñ mālūm thā ye rāsta paanī kā hai
aag sī garmī agar tere badan meñ hai to ho
dekh mere ḳhuun meñ bhī valvala paanī kā hai
ek sohnī hī nahīñ Duubī mirī bastī meñ tū
har mohabbat kā muqaddar sāneha paanī kā hai
be-gunah bhī Duub jaate haiñ gunahgāroñ ke saath
shahr ke qānūn meñ ye zābta paanī kā hai
jāntā huuñ kyuuñ tumhāre baaġh meñ khilte haiñ phuul
baat mehnat kī nahīñ ye mojaza paanī kā hai
ashk bahte bhī nahīñ 'āsim' Thaharte bhī nahīñ
kyā masāfat hai ye kaisā qāfila paanī kā hai