Asim Wasti

banai hai teri taswir maine Darte hue

Asim Wasti

1958
banā.ī hai tirī tasvīr maiñ ne Darte hue
laraz rahā thā mirā haath rañg bharte hue
maiñ inhimāk meñ ye kis maqām tak pahuñchā
tujhe hī bhuul gayā tujh ko yaad karte hue
nizām-e-kun ke sabab intishār hai marbūt
ye kā.enāt simaTtī bhī hai bikharte hue
kahīñ kahīñ to zamīñ āsmāñ se ūñchī hai
ye raaz mujh pe khulā sīḌhiyāñ utarte hue
hameñ ye vaqt Darātā kuchh is tarah bhī hai
Thahar na jaa.e kahīñ hādsa guzarte hue
kuchh e'tibār nahīñ aglī nasl par in ko
vasīyateñ nahīñ karte ye log marte hue
har ek zarb to hotī nahīñ ayaañ 'āsim'
hazār naqsh hue mundamil ubharte hue
Top Urdushayar.com