Asim Wasti

waqt be-waqt ye poshak meri tak mein hai

Asim Wasti

1958
vaqt be-vaqt ye poshāk mirī taak meñ hai
jāntā huuñ ki mirī ḳhaak mirī taak meñ hai
mujh ko duniyā ke azāboñ se Darāne vaalo
ek aalam pas-e-aflāk mirī taak meñ hai
saañp har dasht meñ kartā hai ta.āqub merā
bahr-e-be-āb kā tairāk mirī taak meñ hai
jam.a kartā hai shavāhid mire hone ke ḳhilāf
dar-haqīqat mirā idrāk mirī taak meñ hai
hai mire gird hifāzat ke liye ek hisār
ho agar koī ġhazabnāk mirī taak meñ hai
us se kahnā mujhe hāsil hai tahaffuz ġhaibī
jo pas-e-parda-e-be-chāk mirī taak meñ hai
vo to yuuñ hai ki bachātā hai bachāne vaalā
varna ik lashkar-e-saffāk mirī taak meñ hai
ik taraf ruuh vazū meñ nahīñ hotī shāmil
ik taraf sajda-e-nāpāk mirī taak meñ hai
āshnā ek hai is shahr meñ 'āsim' merā
aur vo dushman-e-bebāk mirī taak meñ hai
Top Urdushayar.com