guzar chukā hai jo lamha vo irtiqā meñ hai
mirī baqā kā sabab to mirī fanā meñ hai
nahīñ hai shahr meñ chehra koī tar o taaza
ajiib tarah kī ālūdgī havā meñ hai
har ek jism kisī zāviye se uryāñ hai
hai ek chaak jo maujūd har qabā meñ hai
ġhalat-ravī ko tirī maiñ ġhalat samajhtā huuñ
ye bevafā.ī bhī shāmil mirī vafā meñ hai
mire gunāh meñ pahlū hai ek nekī kā
jazā kā ek havāla mirī sazā meñ hai
ajiib shor machāne lage haiñ sannāTe
ye kis tarah kī ḳhamoshī har ik sadā meñ hai
sabab hai ek hī merī har ik tamannā kā
bas ek naam hai 'āsim' ki har duā meñ hai