ab ḳhvāhish-e-talāfī-e-māfāt bhī ga.ī
jī meñ jo thī ik baat so vo baat bhī ga.ī
afkār-e-nau-ba-nau ne kiyā vaqt rā.egāñ
kin uljhanoñ meñ fursat-e-auqāt bhī ga.ī
radd-e-savāl se nahīñ be-ḳhauf arz-e-shauq
phir baat kyā kareñge agar baat bhī ga.ī
ahvāl-e-hāl hī ko muqaddar samajh liyā
lo aaj fikr-e-gardish-e-hālāt bhī ga.ī
haiñ sub.h ke hisāb meñ aḳhtar shumāriyāñ
chamkā na āftāb to kyā raat bhī ga.ī
hai aaj ābgīna-e-ehsās chuur chuur
jaane kahāñ ravānī-e-jazbāt bhī ga.ī
vo aaj kho gayā hai 'munavār' hujūm meñ
ummīd-e-yār bahr-e-mulāqāt bhī ga.ī