Munawwar Jahan Munawwar

socha hai usko jab bhi to ye man sanwar gaya

Munawwar Jahan Munawwar

sochā hai us ko jab bhī to ye man sañvar gayā
phir jā sakā na zehn se mujh meñ utar gayā
us ko ḳhabar nahīñ hai jo mujh par guzar ga.ī
ā.īna jaise TuuT ke yaksar bikhar gayā
maiñ chāhūñ us ko bhūlnā kaise bhulā.ūñ maiñ
jaadū thā koī jis kā asar mujh pe kar gayā
kaisā ajiib shaḳhs hai mujh se milā to vo
ḳhushbū misāl saare badan meñ bikhar gayā
maiñ aaj bhī rahī huuñ 'munavār' ik ahd par
saudā.ī merā ahd hai lekin mukar gayā
Top Urdushayar.com