ai dil batā ye un kī navāzish hai yā nahīñ
vo dard mil gayā hai ki jis kī davā nahīñ
ḳhush-fahmiyoñ ko dil ne farāmosh kar diyā
ye aur baat hai ki tumheñ bhūlnā nahīñ
mā.ūf kar diyā hai ġhamoñ ne dil-o-dimāġh
ab to hameñ ḳhayāl kisī baat kā nahīñ
zabt-e-alam pe harf na aane diyā kabhī
āñkhoñ se ek ashk bhī ab tak girā nahīñ
maujoñ ko kyā ḳhabar hai jo haiñ sat.h-e-āb par
dariyā meñ jo chhupā hai vo tūfāñ uThā nahīñ
nairangi-e-jahāñ kā kahāñ tak mushāhida
ai fursat-e-nigāh tirā jī bharā nahīñ
ye ziist kā safar bhī 'munavār' ajiib hai
manzil hai kitnī duur hameñ kuchh patā nahīñ