hogā kam apnā fāsla yūñhī
kaT hī jā.egā rāsta yūñhī
shoḳhiyāñ terī yaad aatī haiñ
phir se aa kar mujhe satā yūñhī
maiñ jalātī rahī vafā ke charāġh
aur bujhātī rahī havā yūñhī
jab ki qismat meñ raushnī hī nahīñ
kyuuñ ye ḳhurshed bhī ugā yūñhī
us kī āñkheñ to mai kā sāgar haiñ
ai mire dil tū Duub jā yūñhī
phuul jhaḌte haiñ us kī bātoñ se
vo nahīñ hotā lab-kushā yūñhī
maiñ ne sūraj kā saath paayā hai
hai 'munavār' nahīñ ziyā yūñhī