kaash mere Dūbne kā vo bhī manzar dekhtā
lekin is ko kyā paḌī thī kyuuñ palaT kar dekhtā
dushmanoñ se ḳhauf khātā umr bhar maiñ bhī agar
dostoñ kī āstīnoñ meñ na ḳhanjar dekhtā
shahr se nikle haiñ ham kis jurm kī pādāsh meñ
ye to us ko dekhnā thā vo sitamgar dekhtā
maiñ thā shāhīñ sab kī nazreñ thiiñ mirī parvāz par
kaun ab aa kar mire TuuTe hue par dekhtā
mai-kashī kā ham pe gar ilzām hai to ho 'asīr'
koī aise zindagī bhar zahr pī kar dekhtā