ham to din-rāt isī soch meñ mar jā.eñge
tujh se bichhḌeñge to kis haal meñ ghar jā.eñge
haañ isī peḌ ke nīche maiñ lahū royā thā
log is raah se guzreñge to Dar jā.eñge
ham haiñ hassās bahut ham ko bachā kar rakhnā
phir na simTeñge jo ik baar bikhar jā.eñge
ab to sahrā bhī gulistāñ hai bahār aane par
shahr ko chhoḌ ke dīvāne kidhar jā.eñge
aa ga.ī niiñd use bhuul bhī jā.egā 'asīr'
aa gayā sabr mujhe zaḳhm bhī bhar jā.eñge