husn phir shoḳhī-e-vafā tauba
ek kāfir nayā ḳhudā tauba
un se kis muñh se shikva-e-bedād
zindagī ḳhud hai ik jafā tauba
zabt kī koshisheñ to kiiñ maiñ ne
har nazar thī ḳhud iltijā tauba
vo bhī majbūr-e-iltifāt hue
dil ne is tarah ro diyā tauba
dil phir is par ye shauq-e-be-pāyāñ
afv kiije huī ḳhatā tauba