Salahuddin Faiq Burhanpuri

KHizan se kaun si shai chhin li bahaaron ne

Salahuddin Faiq Burhanpuri

ḳhizāñ se kaun sī shai chhīn lī bahāroñ ne
guloñ ko aañkh dikhā.ī chaman meñ ḳhāroñ ne
chhupā chhupā ke rakhā thā jise bahāroñ ne
ugal diyā hai vahī ḳhuun lāla-zāroñ ne
qadam qadam pe hazāroñ fareb haiñ saaqī
irāde nek to bāñdhe haiñ bāda-ḳhvāroñ ne
usī maqām pe pahuñche haiñ tere dīvāne
jahāñ se aañkh churā.ī thī hoshyāroñ ne
mire jamāl kā har aa.ina ubhar aayā
ye saaz kaun se chheḌe haiñ ābshāroñ ne
qadam qadam pe tajallī nazar nazar jalva
kahāñ bulāyā hai muusā ko kohsāroñ ne
shab-e-firāq umīdoñ kī lau bhī kaañp uThī
kuchh aise giit bhī gaa.e haiñ chāñd tāroñ ne
umīd-o-bīm ke ā.īne muttasil rakh kar
hayāt-e-nau mujhe baḳhshī tire sahāroñ ne
ye ittifāq hai in ko vafā na raas aa.ī
bahāyā ḳhuun jigar tere jāñ-nisāroñ ne
duā hai phir bhī salāmat rahe ye mai-ḳhāna
evaz meñ mai ke piyā ḳhuun bāda-ḳhvāroñ ne
sukūñ kī bhiik to māñgī na thī kabhī maiñ ne

karam kiyā hai kahāñ mere ġham-gusāroñ ne

chubho diye haiñ diloñ meñ jo ḳhār-e-ġham tum ne
unhīñ se zaḳhm kurede vafā-shi.āroñ ne
kahāñ kā zauq-e-nazar ḳhud nazar hai gum 'fā.iq'
chhupā liyā hai mujhe yuuñ tire nazāroñ ne
Top Urdushayar.com