der tak chand muḳhtasar bāteñ
us se kiiñ maiñ ne aañkh bhar bāteñ
tū mire paas jab nahīñ hotā
tujh se kartā huuñ kis qadar bāteñ
kaisī bechārgī se karte haiñ
be-asar log bā-asar bāteñ
dekh bachchoñ se guftugū kar ke
kaisī hotīñ haiñ be-zarar bāteñ
sun kabhī be-ḳhudī meñ karte haiñ
be-ḳhabar log bā-ḳhabar bāteñ
us kī aadat hai baat karne kī
vo karegā idhar udhar bāteñ
intihā.ī hasīn lagtī hai
jab vo kartī hai ruuTh kar bāteñ
aa mujhe sun ki ho tujhe mālūm
kaisī hotī haiñ ḳhūb-tar bāteñ
sahl kaT jaa.e ye tavīl safar
aur kar mere ham-safar bāteñ
koī suntā na ho kahīñ 'āsim'
yuuñ na kar us se phone par bāteñ