Salahuddin Faiq Burhanpuri

main faizyab-e-gardish-e-saghar nahin hua

Salahuddin Faiq Burhanpuri

maiñ faizyāb-e-gardish-e-sāġhar nahīñ huā
kyuuñ ai nigāh-e-dost ye kyūñ-kar nahīñ huā
har ashk-e-ḳhūñ meñ gauhar-e-yaktā kī aab ho
vo ishq kyā jo husn kā zevar nahīñ huā
kyūñkar luTā.ī dil kī ye maiñ ne mohabbateñ
kuchh ġham nahīñ jo koī shanāvar nahīñ huā
baazī hamesha dil hī mohabbat meñ le gayā
ik ma.arka bhī tum se koī sar nahīñ huā
ik gardish-e-mudām ne ghere rakhā mujhe
ik lamha-e-sukūñ bhī mayassar nahīñ huā
kaifiyyat-e-hayāt se vāqif nahīñ hai vo
jis ko niyāz-e-ishq mayassar nahīñ huā
ye raaz apnī mast nigāhoñ se pūchh lo
kyuuñ dil rahīn-e-minnat-e-sāġhar nahīñ huā
fitrat hī ḳhud azal se hai sar-gufta-e-vafā
ai ḳhizr koī ishq kā rahbar nahīñ huā
'fā.iq' tamām raat ḳharāb-e-fuġhāñ rahā
lekin asar zarā bhī kisī par nahīñ huā
Top Urdushayar.com