mujh par junūn-e-shauq kā kyūñ-kar asar ġhalat
gar ye ġhalat to raah ġhalat rāhbar ġhalat
nazar aa ga.e vo aap hī dekhā jo aa.ina
samjhe the ishq hī ko marīz-e-nazar ġhalat
vāraftagī-e-shauq sambhalne bhī de mujhe
be-tābiyoñ kā vo na kahīñ leñ asar ġhalat
mat pūchh vo nigāhoñ se kyā kuchh pilā ga.e
ab be-ḳhudī-e-shauq meñ baaqī kasar ġhalat
'fā.iq' gudāz-e-dil hai mohabbat meñ asl shai
ye sail-e-ashk-e-ḳhām ye dāmān-e-tar ġhalat