jis ko kahte haiñ qazā yā maut jis kā naam hai
vāqa.ī vo dā.imī rāhat kā ik paiġhām hai
iltizām-e-chārasāzī ik ḳhayāl-e-ḳhām hai
chāragar mere liye taklīf meñ ārām hai
uf re ye begānagī hamdard ho to kaun ho
ek dil thā vo bhī sarf-e-kasrat-e-ālām hai
arsa-e-rafta pe nazreñ paḌ rahī haiñ vahm kī
ḳhvāb kī tasvīr hai yā zindagī kī shaam hai
apnī hastī kā bhī ab aatā nahīñ mujh ko yaqīñ
al-hazar kaisā junūn-e-shauq kā anjām hai
ye haqīqat hai ki donoñ fitratan ma.asūm haiñ
pāk-dāman husn bhī hai ishq bhī ḳhush-nām hai
dekhte hī ruuh meñ ik kaifiyat sī aa ga.ī
sāqiyā kyā bāda-e-rañgīñ kā pyārā jaam hai
ab to 'fā.iq' aur bhī mushkil se kuchh kaTne lagī
ishq bhī taskīn-e-ḳhātir ke liye nākām hai