itnī gustāḳhī to ai sayyād kar letā huuñ maiñ
qaid-e-ġham se ruuh ko āzād kar letā huuñ maiñ
baiThe baiThe tujh ko jis dam yaad kar letā huuñ maiñ
māya-e-sabr-o-sukūñ barbād kar letā huuñ maiñ
vā.e-nādānī ki paidā kar ke tujh se bad-zanī
aap apne dil ko ḳhud nāshād kar letā huuñ maiñ
ho ke majbūr-e-tamāshā vahm kī tasvīr se
lazzat-e-zauq-e-nazar barbād kar letā huuñ maiñ
kar ke mustaqbil kī kuchh rañgīniyoñ pe e'timād
ġham-zada dil ko bhī apne shaad kar letā huuñ maiñ
kuchh tasavvur se tire kuchh dil se ho kar ham-kalām
apnā yuuñ furqat-kada ābād kar letā huuñ maiñ