ai ishq shād-kām huuñ tere shu.ūr se
mujh ko gila nahīñ hai kisī ke ġhurūr se
ye intihā-e-hosh hai aage ḳhabar nahīñ
āvāz de rahā thā koī mujh ko duur se
qatre kī kyā bisāt patā bhī nahīñ chalā
ik mauj uTh ke rah ga.ī dariyā-e-nūr se
detā rahe zamāna fareb-e-nashāt ab
sar-ḳhush haiñ ham to bāda-e-ġham ke surūr se
qurbān terī nīm-nigāhī ke dekh phir
aatī hai mujh ko bū-e-mohabbat ġhurūr se
ai barq-e-husn izn-e-tamāshā kabhī hameñ
muusā nahīñ jo lauT ke aa jaa.eñ tuur se
ye husn ye shabāb ye ma.asūmī-e-jamāl
tum daad lo ḳhudā kī qasam jā ke huur se
kambaḳht us ne aur bhī majbūr kar diyā
baaz aa.e ham ilāhī dil-e-nā-subūr se
'fā.iq' mire mazāq meñ be-mā.egī sahī
dād-e-suḳhan-talab huuñ magar zī-shu.ūr se