Salahuddin Faiq Burhanpuri

nigah-e-mast ka kaif-e-KHumar kya kahiye

Salahuddin Faiq Burhanpuri

nigāh-e-mast kā kaif-e-ḳhumār kyā kahiye
bahār goyā hai andar bahār kyā kahiye
ma.āl-e-husn-parastī-e-yār kyā kahiye
nazar nazar hai mirī jalva yaar kyā kahiye
qadam qadam par nigāhoñ ne Thokareñ khā.īñ
fareb-e-jalva-e-rañgīñ-bahār kyā kahiye
ye intizār kisī kā are ma.āz-allāh
luTā chukā huuñ matā.a-e-qarār kyā kahiye
unheñ ḳhayāl kī mahfil meñ DhūñDne niklī
mirī nazar kā ġhalat e'tibār kyā kahiye
hameñ ishāra-e-kun ke fareb ne maarā
jahāñ meñ aa ga.e dīvāna-vār kyā kahiye
har ek zarre meñ ik tuur kar liyā paidā
nigāh-e-shauq tirā eqtidār kyā kahiye
patiñge roz hazāroñ banā.e jaate haiñ
mirā taqaddus-e-ḳhāk-e-mazār kyā kahiye
sitam to ye hai ki ham ḳhud sitam ke ḳhūgar haiñ
shikāyat-e-sitam-rozgār kyā kahiye
Top Urdushayar.com