Salahuddin Faiq Burhanpuri

majmua-e-KHayal pareshan kiye hue

Salahuddin Faiq Burhanpuri

majmūa-e-ḳhayāl pareshāñ kiye hue
baiThā huuñ phir junūñ ko maiñ mehmāñ kiye hue
maiñ likh rahā huuñ sharh-e-hayāt-e-alam-nasīb
qatrāt ḳhūn-e-dil sar-e-unvāñ kiye hue
detā huuñ phir ḳhayāl ko maiñ dāvat-e-junūñ
zarroñ ko apne dil ke bayābāñ kiye hue
vahshat ba-qaid-e-ishq nahīñ muddateñ huiiñ
phirtā huuñ yūñhī chaak garebāñ kiye hue
ai āftāb-e-hashr zarā ik nazar idhar
laayā huuñ dil ke daaġh numāyāñ kiye hue
allāh kā shukr hai ki khaḌā hai koī qarīb
mushkil ko vaqt-e-naz.a kī āsāñ kiye hue
kyoñ ahl-e-hashr koī bhī kuchh pūchhtā nahīñ
phirte haiñ tar lahū meñ vo dāmāñ kiye hue
Top Urdushayar.com