Salahuddin Faiq Burhanpuri

baiThe hain bhigi zulf pareshan kiye hue

Salahuddin Faiq Burhanpuri

baiThe haiñ bhīgī zulf pareshāñ kiye hue
kāfir adā-e-husn ko uryāñ kiye hue
dil kuchh mohabbatoñ se gurezāñ kiye hue
baiThā huuñ kuchh ḳhayāl pareshāñ kiye hue
āñkhoñ meñ ik latīf sī mastī bharī huī
nazroñ ko ham-kanār-e-gulistāñ kiye hue
aa mai-kade meñ ban ke bahār-e-havā-e-sub.h
chal de har ek jaam ko raqsāñ kiye hue
muusā batā rahā huuñ yahīñ jalva-gāh-e-tūr
nazroñ ko sirf jalva-e-pinhāñ kiye hue
aalam dikhā rahe haiñ ajab nūr-o-nār kā
jalvoñ ko husn-o-ishq ke yak-jāñ kiye hue
Top Urdushayar.com