sitamgar tujh se ham kab shikva-e-bedād karte haiñ
hameñ fariyād kī aadat hai ham fariyād karte haiñ
matā.a-e-zindagānī aur bhī barbād karte haiñ
ham is sūrat se taskīn-e-dil-e-nāshād karte haiñ
havāo ek pal ke vāste lillāh ruk jaao
vo merī arz par dhīme se kuchh irshād karte haiñ
na jaane kyuuñ ye duniyā chain se jiine nahīñ detī
koī pūchhe ham is par kaun sī be-dād karte haiñ
nazar aatā hai un meñ beshtar ik narm-o-nāzuk dil
masā.ib ke liye siine ko jo faulād karte haiñ
ḳhudā kī maslahat kuchh is meñ hogī varna behis but
kise shādāñ banāte haiñ kise nāshād karte haiñ
nahīñ dekhā kahīñ jo mājrā-e-ishq meñ dekhā
ki ahl-e-dard chup haiñ chāra-gar fariyād karte haiñ
asīr-e-dā.imī gar dil na ho to aur kyā ho jab
kahīñ vo muskurā kar jā tujhe āzād karte haiñ
kiyā hogā kabhī aadam ko sajda kahne sunñe se
farishte ab kahāñ parvā-e-ādam-zād karte haiñ
hameñ ai dosto chup-chāp mar jaanā bhī aatā hai
taḌap kar ik zarā dil-jūī-e-sayyād karte haiñ
bahut saada sā hai ai 'kaif' apne ġham kā afsāna
vo ham ko bhuul baiThe haiñ jinheñ ham yaad karte haiñ