khāte haiñ ham hachkole is pāgal sansār ke biich
jaise koī TuuTī kashtī phañs jaa.e mañjdhār ke biich
un ke aage ghanToñ kī arz-e-vafā aur kyā paayā
ek tabassum mub.ham sā iqrār aur inkār ke biich
donoñ hī andhe haiñ magar apne apne Dhab ke haiñ
ham to farq na kar paa.e kāfir aur dīñ-dār ke biich
ishq pe bul-havasī kā ta.an ye bhī koī baat huī
koī ġharaz to hotī hai pyaar se har īsār ke biich
yuuñ to hamārā dāman bas ek phaTā kapḌā hai magar
DhūñDho to pāoge yahāñ sau sau dil har taar ke biich
jaise kaale kīchaḌ meñ ik surḳh kamal ho jalva-numā
aise dikhā.ī dete ho ham ko to aġhyār ke biich
ye hai dayār-e-ishq yahāñ 'kaif' ḳhirad se kaam na le
farq nahīñ kar pā.egā majnūñ o hoshyār ke biich