chalegī na ai dil koī ghaat hargiz
nahīñ un se hogī mulāqāt hargiz
bahut koshish-e-zabt kī ham ne lekin
Thaharte nahīñ dil meñ jazbāt hargiz
tū buqrāt-e-daurāñ hai nāseh magar ham
suneñge na tere maqālāt hargiz
jo jāñ-bāziyoñ kī chale chaal us ko
bisāt-e-vafā par na ho maat hargiz
umīdoñ ke jugnū chamakte haiñ lekin
na Thahreñge dam bhar ye lam.āt hargiz
hai kyā ziist kyā hāsil-e-zindagī hai
nahīñ hote hal pe savālāt hargiz
vo chamkā kareñ laakh par ho sakeñge
muqābil na sūraj ke zarrāt hargiz
hamārā hai haqq-e-vafā deñ na deñ par
na māñgeñge ham un se ḳhairāt hargiz
tan-āsāno ulfat se baaz aao tum se
uTheñge na ġham ke su.ūbāt hargiz
nakīrain aa.e haiñ kuchh kah ke Taalo
Taleñge na varna ye hazrāt hargiz
ġhalat baat hai par ye lagtā hai jaise
kaTegī na ab hijr kī raat hargiz
na ghabrāo tum aarzī haiñ ye aañsū
musalsal na hogī ye barsāt hargiz
ziyāñ bhī uThā.e haiñ par ham ne yaaro
nahīñ dil meñ rakkhī koī baat hargiz
vo guzrī hai ham par jo majnūñ pe guzrī
badalte nahīñ ġham ke hālāt hargiz
dil-e-'kaif' hai ik rabāb-e-shikasta
uTheñge na ab is se naġhmāt hargiz