sarḳhushī mere liye asbāb-e-ġham mere liye
maujzan hai jaise dariyā-e-karam mere liye
har sitam mere liye hai har karam mere liye
husn ke jalve haiñ saare besh-o-kam mere liye
kyā haqīqat hai ġham-e-hastī kī mere sāmne
aa.e din hī gardan-e-mīnā hai ḳham mere liye
ishq kī be-tābiyāñ haiñ husn kī ra.anā.iyāñ
ho ga.e haiñ ziist ke sāmāñ baham mere liye
ḳhud pashemāñ huuñ maiñ apne nāla-e-shab-gīr par
uf vo chashm-e-kaif-āgīñ aur nam mere liye
dil kī azmat kyā kahūñ dil kī haqīqat kyā kahūñ
jaise ham-āġhosh hoñ dair-o-haram mere liye
ishq kī mojiz-numā.ī 'kaif' ab kyā pūchhiye
bār-e-hastī ho gayā hai ḳhud hī kam mere liye