Saraswati Saran Kaif

kahin ye taskin-e-dil na dekhi kahin ye aaram-e-jaan na dekha

Saraswati Saran Kaif

Mainpuri, Uttar pradesh, India

1922-2007
kahīñ ye taskīn-e-dil na dekhī kahīñ ye ārām-e-jāñ na dekhā
tumhāre dar kī jo ḳhaak paa.ī to ham ne sū-e-jināñ na dekhā
baḌī chamak āftāb meñ thī ajab damak māhtāb meñ thī
uchhāl dī ḳhāk-e-dil jo ham ne kisī ko phir zau-fishāñ na dekhā
agar muqaddar kare na yaarī to farq kyā hai koī jagah ho
chalo vo qaid-e-qafas hī dekhī phuñkā huā āshiyāñ na dekhā
bajā ye farmāyā koī tujh sā gadā mubarram nahīñ jahāñ meñ
huzūr maiñ ne bhī saarī duniyā meñ aap sā mehrbāñ na dekhā
hazār phūloñ meñ dilkashī ho banā.e gulshan hai ḳhār-o-ḳhas par
vo kyā chaman hai ki jis chaman ne nashāt-e-daur-e-ḳhizāñ na dekhā
uchhāl kar kashtī-e-shikasta kināre maujoñ ne pheñk dī hai
baḌā hī shohra thā bahr-e-ġham kā par us ko bhī be-karāñ na dekhā
rukī rukī nabz Dūbtā dil ukhaḌtī sāñseñ bhaTaktī āñkheñ
tumhāre hī dekhne ke qābil thā tum ne hī ye samāñ na dekhā
kabhī purāne ġhamoñ kī sozish kabhī na.ī kashmakash kā khaTkā
dil-e-girafta ko shādmānī meñ bhī kabhī shādmāñ na dekhā
hazār kī tū ne harza-goī magar kahā mudda.ā na dil kā
jo sach kaheñ to zamāne meñ 'kaif' tujh sā bhī be-zabāñ na dekhā
Top Urdushayar.com