Saraswati Saran Kaif

ek nazuk dil ke andar hashr barpa kar diya

Saraswati Saran Kaif

Mainpuri, Uttar pradesh, India

1922-2007
ek nāzuk dil ke andar hashr barpā kar diyā
haa.e ham ne kyuuñ ye iz.hār-e-tamannā kar diyā
ab nahīñ hai ḳhushk āñkhoñ meñ sivā vahshat ke kuchh
intihā-e-ġham ne kyā dariyā ko sahrā kar diyā
un ke dar ko chhoḌ kar dar dar bhaTakte ham rahe
vahshat-e-dil ne ajab anjām ulTā kar diyā
vasvase ummīd ke dam se jo the sab miT ga.e
intihā-e-dard ne ġham kā mudāvā kar diyā
lab pe luknat āñkhoñ meñ vahshat hai chehra zard hai
ishtiyāq-e-hūr ne zāhid ko kaisā kar diyā
go nahīñ ummīd us se thī ināyat kī magar
ye thā farz-e-āshiqī ham ne taqāzā kar diyā
ik nizā.a-e-mustaqil rahtī hai aql-o-shauq meñ
tark-e-ulfat ne to ab dushvār jiinā kar diyā
dil to thā ik qatra-e-ḳhūñ kyā haqīqat us kī thī
tere ġham ne qulzum-e-zaḳhḳhār jaisā kar diyā
iftirā-o-makr se shāyad tujhe miltā vaqār
haq-parastī ne tujhe ai 'kaif' rusvā kar diyā
Top Urdushayar.com