Saraswati Saran Kaif

hum soz-e-dil bayan karen tum se kahan talak

Saraswati Saran Kaif

Mainpuri, Uttar pradesh, India

1922-2007
ham soz-e-dil bayāñ kareñ tum se kahāñ talak
jalne lagī hai ab to hamārī zabāñ talak
kuchh be-kasī-e-rāh-rau-e-ġham na pūchhiye
miltī nahīñ hai gard-e-rah-e-kārvāñ talak
sharmā ke lauT aa.e na jab kuchh asar huā
naale hamāre pahuñche to the āsmāñ talak
ummīd-e-bāda kis ko hai ḳhūn-e-jigar piyo
hai mohtasib ke ruup meñ pīr-e-muġhāñ talak
rāz-o-niyāz-e-ishq kī kyā ho ḳhabar hameñ
hāsil nahīñ hai dīd-e-ruḳh-e-mahvashāñ talak
kis muñh se ham bayān kareñ mājrā-e-dil
un ko nahīñ pasand hai soz-e-nihāñ talak
ham ko qafas hī raas huā barq ke tufail
baaqī nahīñ chaman meñ rahā āshiyāñ talak
pā-e-za.īf ba.ad meñ chāheñ to TuuT jaa.eñ
pahuñchā deñ ek baar to kū-e-butāñ talak
shāyad baqā-e-ishq isī shai ko kahte haiñ
ham bhuul baiThe ġham meñ zamān-o-makāñ talak
yaaro hamārī ziist kā qissa hai muḳhtasar
mahdūd hai hadīs-e-ġham-e-dil-barāñ talak
mutlaq nahīñ hai 'kaif' ko da.avā-e-jazb-e-dil
maqdūr is kā girya-o-āh-o-fuġhāñ talak
Top Urdushayar.com