jiinā marnā donoñ muhāl
ishq bhī hai kyā jī kā vabāl
māl-o-manāl-o-jāh-o-jalāl
apnī nazar meñ vahm-o-ḳhayāl
ham na samajh paa.e ab tak
duniyā kī shatranjī chaal
kuchh to shah bhī tumhārī thī
varna dil kī aur ye majāl
kis kis se ham nibteñge
ek hai jaan aur sau janjāl
mast ko girne de saaqī
haañ us ke shā.er ko sambhāl
ham aur ḳhauf-e-rusvā.ī
nāseh bhī kartā hai kamāl
un kī nazar se gir gayā jab
shīsha-e-dil meñ aayā baal
kuchh duniyā ke kuchh dil ke
rog liye haiñ ham ne paal
saaqī sāġhar bhar de jald
Dhaal nigāhoñ se bhī Dhaal
umr to kyā paa.ī hai magar
guzre haiñ kuchh māh-o-sāl
sab dil kī nādānī hai
kaisā firāq aur kis kā visāl
apnī vafā bhī nirālī hai
un kī jafā bhī be-timsāl
ek nigah kī gardish ne
kyā kyā fitne diye haiñ uchhāl
'kaif'-e-hazīñ-o-ḳhasta kī yaad
mumkin ho to dil se nikāl